Zia Mohyeddin reading Faiz Ahmed Faiz

love urdu. love faiz.

Mulaqat by Faiz Ahmed Faiz

(1)
Yeh raat us dard ka shajar hai
Jo mujh sy tujh sy azeem tar hai
Azeem tar hai k is ki shakhun
Mei lakh mahal bakaf sitarun
K karwan, ghir k kho gaye hein
Hazar mehtab, is k saye
Mei apna sub noor ro gaye hein
Yeh raat us dard ka shajar hai
Jo mujh sy tujh sy azeem tar hai
Magar isi raat k shajar sy
Yeh chand lamhun k zard pattay
Giray hein, aur tery gaisuon mei
Uljh k gulnar ho gaye hein
Isi ki shabnam sy khamshi k
Yeh chand qatray, teri jabeen py
Barus k heeray pro gaye hein

(2)
Buht seeh hai yeh raat laikan
Isi siahi mei roo numa hai
Wo nahr-e khoon jo meri sada hai
Isi k saye mei noor gar hai
Wo mauje zar jo teri nazer hai
Wo gham jo is waqt teri banhun
K gulistan mei sulg raha hai
(wo gham, jo is rat ka samar hai)
Kuch aur tup jaye apni ahun
Ki aanch mei tu yehi sharer hai

Har ik seeh shakh ki Kaman sy
Jigger kei tootay hein teer jitney
Jigger sy nochay hein, aur har ik
Ka ham ny taisha bana lya hai

(3)
Alam naseebun, jigger figarun
Ki subha, aflak par nahein hai
Jahan py ham tum kharay hein donu
Seher ka roshan ufaq yehein hai
Yehein py gham k shirar khil kar
Shafaq ka gulzar bun gaye hein
Yehein py qatil dukhun k taishay
Qitar andar qitar kirnu
K aatsheen haar bun gaye hein
Yeh gham jo is raat ny diya hai
Yeh gham seher ka yaqeen bana hai
Yaqeen jo gham sy kareem tar hai
Seher jo shab sy azeem tar hai

Montgomery (now Sahiwal) jail, 1953